KYA YE PYAR HAI

Aaj mere man Mein
Ek sawal aaya hain
Ye logo par chada
Pyar ka kaisa chaya hain
Pyar ki paribhasa ko badal diya hain
kuch logo ne
Bishwas or tyag ko hta kar
HAWAS iska naam aaya hain
Maa baba ke pyar ko
Yu hi logo ne choda hai...
Do din ke pyar ke liye
Apna ghar Yu toda hai
Apna pyar jatane ke liye
Hum unpar haabi ho jate hain
agar bo pyar na bhi kre
To Jabardasti apne pyar ko jatate hain
Kuch logo ki bajah se
Aaj yu hi Pyar badnaam hain
Kyuki aaj ka pyar
rooh ka nahi jism ka gulam hai ...
Kya yahi bo pyar hai
Jiske liye heer - ranjha,
Laila - majnu ne apna jaan gabaya tha?
~BAPPI MANDAL

Comments